Bina dastak dete, bhujha deti yeh bimari
Nigal rahi Ek ke baad ek ko, yeh bimari
Dard aur kauf aur sannata hey Chaya
Charo aur bass andhiyara hi andhiyara
Mahamari ke Chakravyu me na fasso
Jeevan ke sachai ko kash samj paoo
Jeevan data ke sath Ananth Jeevan paoo
Mrithyu ko bhulo, Ananth Jeevan ko paoo.
Marg sathy aur Jeevan bankar Yeshu aaya
Nashwan Jeevanon ko mukti dilane Yeshu aaya
Awinashi rajy me dakhil karane Vo aaya
Bahumoolyu lahu se kharida He Vo aaya
Jo vishwas karte kurbani Yeshu ki
Jo angikar karte Prabhuta Yeshu ki
Jo samna karte andhakar ki taraiyon ko
Mehfuz rahate vo Yeshu ke hathon mein!!
Prabhu bula raha hey
Samy samy Apne pariyon ko
Taki de unko Ananth aaram
Puri hui hey unki daud
Abb kyon bhatke edhar udhar
Vo sabb hein mehfooz sthanon mai
Yakeenan hein mehfooz
Pita Prabhu ke Hathon mey
(Robin Cherian 25/4/2021)
Comments